Lyrics

Shohratein to nahin hain mili

Na raees hoon main bada

Jeb mein hai nahin kuch, magar

Paas hai jo, wo sun le zara

Tere is dil ko churaane ke liye

Hai yehi ek dhun

Sanam ko apna banane ke liye

Hai yehi ek dhun

Hai yehi ek dhun

Jab bhi barsaat aaye, palkon mein dhaank loonga

Na kami koi khalegi, tujhe itna pyaar doonga

Chaand-taare le aaoon, hai ye to mumkin nahin

Par wada hai ye, kasam se, tere saath main rahoonga

Tere saath main rahoonga

Hmm, ye main daawa nahin kar raha

Koi Tajmahal hai mera

Naam ki chand deewarein hain

Jinko hi "ghar" main kehta raha

Tere is ghar ko sajaane ke liye

Hai yehi ek dhun

Sanam ko apna banane ke liye

Hai yehi ek dhun

Hai yehi ek dhun

Ek dhun

Ek dhun

Tere is dil ko churaane ke liye

Hai yehi ek dhun

Lyrics from LRCLIB

Own this song? Email takedown@jamtap.app to have it removed.